Article

Kia Aik Achi Larki Ko Ziada Parha Likha Nahi Hona Chahiye?

2376 views

Disclaimer*: The articles shared under 'Your Voice' section are sent to us by contributors and we neither confirm nor deny the authenticity of any facts stated below. Parhlo PInk will not be liable for any false, inaccurate, inappropriate or incomplete information presented on the website. Read our disclaimer.

Hamare muashray mein larki pocha lagati hoi, bartan dhoti hoi, kapre silayi, karhai karti hoi hi sab ko achi lagti hai. Wo agar sochti nahi hai, bolti nahi hai, uss mein khud aitamadi nahi hai tou wo bohot “achi” larki hai. Is mein itni bhi khud aitemadi nai hai kay wo bashaori tor par khud apna sahi ghalat dekh kar faisle kar sake tou phir tou wo aur bhi “achi”  larki hai. Iss se woh “azaad” khayal nahi banti.

Dari sehmi si aik uljhanon ka shikaar rehne wali pyari si larki, taleem bhi itni hi hasil kare jis se hum ba’rae naam degree keh sakain. Aur jis se ya to kisi engineer, doctor ka ya sirf mehez aik rishta ya rishtay ayen. Aur jald se jald. Kyun ke, iss degree ko larke walon ko aik tamghe kay tor par dikhaya jae ga kay larki parhi likhi he bus is se zada kuch nahi.

Source: The Borgen Project

Ab bat karte hain us larki ki jo in sab pabandiyon kay hote howe bhi khud sochti hai koi “talent” rakhti hai, ya tou wo “writing” karti hai, writer ban sakti he ya blogs likhti he blogger ban sakti he ya mehez “rishta certified wali degree” se ziyada aala taleem hasil kar ke, koi professional ban na chahti he to esi larki aik nazar kisi ko nai bhati. Na uske rishtedaron ko, na mohalle walon ko, aur sab se zada buri to wo muashray walon ki nazar mein hoti hai, so-called “characterless”.

Source: Gallup Pakistan

Haye, haye, larki hai, aur sochti hai? Apna dimagh istemal karti hai jo hum ne salon se hazaron larkiyon ko nahi karne diya? Ab yeh hamari riwayat ko balla-e-taq rakh ke itna barha gunah kare gi? Wo “soche” gi? Haw, haye…  rishta nai aye ga! Log kya kahenge? Job keregi? Tangain na tor dain?! Sochne lagi hai, likhne lagi hai, ab to par nikal ayenge!

Mobile cheen lo is se! Ghar ke kamon mein lagao, jharu pocha lagwao jo iska kaam hai. Writer bane gi likhe gi apni kitab likhe gi sawal hi paida nai hota. Pabandiyon ki miqdaar barha di jaye. Sochne na do, iska jaldi se rishta dhondo jaldi se farigh karo ise. Kahin yeh hathon se na nikal jae…

Aisa muashra mujhe kaise bardasht kerega? Kaise ye muashra agay barhega? Kab hum iss soch ko khatam hone denge? Ke agar larkiyan parh likh jayen, tou inka dimagh asmaanon ko choone lagta hai? Me poochti hoon akhir kab?

Snap Chat Tap to follow
Place this code at the end of your tag: